Saturday, June 13, 2009

Mera Jeevan path..broken knees to broken heart.

Jeevan path par akela hi chal pada tha mai
apne lakshya ki or
kyunki suna tha maine ki
rukna musafir ko shobha nahi deta
bas chalna hi uska kaam hai
Isi me uska maan hai !

Log milte gaye
saath mere hote gaye
thodi duur toh sab saath chale
phir saath chhod gaye
parwah na ki maine
kaun mila ya kaun chhuut gaya
mai bas badhta chala gaya
apne lakshya ki or !

Aaj jab apna lakshya paa liya hai maine
akela hi khada hu mai
Apni kismat ko kos raha hu mai
kaash koi toh hota
mere saath khada hota
khushi jiske saath baant paata mai !

Jab jhaanka maine apni raah par
bas pachchtata reh gaya
bahut log mile the mujhe
jo aaj saath de sakte the mera
par mai hi unhe chhodhta chala gaya
apne lakshya ki or badhta chala gaya !

Aaj prann leta hu mai
kisi ko saath chhodne nahi dunga
isi prann ke saath
mai phir badh chala
apne naye lakshya ki or !

Jeevan path par phir mile log
wo mere saath chalne lage
jab kisi ne bhi mera saath chhoda
use rokne ke lie
mai rukta chala gaya
mai girta chala gaya
apne lakshya se duur hota chala gaya !

phir ek din guruvaani mili
aur mai aage badhne laga
phir log mile jeevan rupi is path par
Unhe saath le mai chalta chala gaya
jab wo saath chhodne lage
toh mai dheere hua
mai ruka nahi
mai gira nahi
bas dheere ho gaya
kuchch ne saath chhoda
kuchch saath hi reh gaye
aur kaarwan banta gaya
Us kaarwan ko le
Mai badhta chala gaya !

Aaj jab tum mera saath chhodne ki soch rahe ho
dheere ho gaya hu mai
tum mere ajeez ho
shayad islie ruk bhi gaya hu mai
kya mai aasha karu
tum mera saath doge
haath mera phir thaam loge
tab toh mai ruku
varna aage badhu !

Kyunki phir se ye maan-ne laga hu mai
rukna musafir ko shobha nahi deta
bas chalna hi uska kaam hai
Isi me uska maan hai
Bas ek antar aa gaya hai
maan-ne laga hu mai
ki jaise rukna musafir ko shobha nahi deta
isi tarah akele chalna insaan ko shobha nahi deta
islie ruka hua hu mai
tumhare saath aane ka intezaar kar raha hu mai !!